Hamain jub alvida kehnay lago tou……
Muskura dena, Sitara Saath Kar Dena
Keh rastay main andheray bhi tou aayen gay
Kisi harf-e-dua ka ista’ara saath kar dena
Hamain Zaad-e-Safar ko
Tumhari yaad ki soghaat kaafii hai
Tumharay saath guzray howay pal bhi ghaneemat hain
Kahin thehray jo rastay main
sunehrii yaad ki suurat
tumhain hamraah paayen gay
tou hum tanhaa kahan hon gay
magar phir bhii…….
Hamain jub alvida kehnay lago tou..
Muskura dena, Sitara Saath Kar Dena
Kisi harf-e-dua ka ista’ara saath kar dena
Re: Hamain jub alvida kehnay lago tou……
Bohat khoob:lajawab:
Re: Hamain jub alvida kehnay lago tou……
good
Re: Hamain jub alvida kehnay lago tou……
Hamain jub alvida kehnay lago tou.. Muskura dena, Sitara Saath Kar Dena Kisi harf-e-dua ka ista’ara saath kar dena
Really enjoyed it. very nice piece.
Re: Hamain jub alvida kehnay lago tou……
good one!
Re: Hamain jub alvida kehnay lago tou……
thanx all
Re: Hamain jub alvida kehnay lago tou……
Nice.