**Shaam Ko Sogwaar Kartay Rahay
Ham Tera Intezaar Kartay Rahay
**
TU Tou Kaar-e-Jahan Mein Tha Masroof
Aur Hum Tujh Se Pyaar Kartay Rahay
Kis Lye Vasl Ki Kahani Mein
Hijr Ko Hissaydaar Kartay Rahay
Dil Ko Bas Mubtala-e-Gham Rakha
Wehshaton Ka Shumaar Kartay Rahay
Re: Ham Tera Intezaar Kartay Rahay
**Dil Ko Bas Mubtala-e-Gham Rakha
Wehshaton Ka Shumaar Kartay Rahay
Kia statistics aai iss aadad o shumaar ki?
**
Re: Ham Tera Intezaar Kartay Rahay
calculator jawab dy gya