jab tayree dhun main jeya kartay thay
ham bhi chup chap phira kartay thay
aank main payaas hua kartee thee
dil main toofan utha kartay thay
loog aatay thay ghazal sun-nay ko
ham tayree baat kia kartay thay
sach samajhtay thay tayray waadoun ko
raat din ghar main raha kartay thay
kisi weeranay main tujh say mil kar
dil main kia phool khila kartay thay
ghar ki dewaar sajanay kay leeyay
ham tayra naam likha kartay thay
woh bhi kia din thay bhula kar tujh ko
ham tujhay yaad kia kartay thay
jab tayray dard main dil dukha karta tha
ham tayray haq main duaa kartay thay
apnay jazboun ki kamandoun say tujhay
ham bhi taskheer kia kartay thay
apnay aansoon bhi sitaroun ki tarah
tayray hountoun pay saja kartay thay
chayrta tha gham-e-dunya jab bhi
ham tayray gham say gilla kartay thay
kal tujhay daikh kay yaad aaya hay
ham bhi sukhanwar hoa kartay thay