(ik aap baiti)
Desperate to commit suicide - (so ReAd aT uR oWn RiSk)
?
ik gunah aisa hua ham se ke ab
meray saai mujhey shaitan lagte hain
un ki yaad bhula daina he acha hota
bas aisay kaam thoray namumkin hotay hain
masroofiyat ka yeh aalam hai dosto
yadoun ke saharay din raat guzarte hain
dil ka tootna achi baat hai shaid
ke sab issi tarah shaa’er bante or aahain bharte hain
yeh logic samajh nahin aati laykin
ham se apnay pareshan, ghair khush nazar aate hain
kuch iss tarah badnaam huay hain ham
najanay ab ghar walay bhi kyoun ID mangtay hain
aasmanon se wasee’e or samandaron se gehray
yeh dil ke zakham itne bereham kyoun hote hain?
sab ne to phir aik roz jana he hai
main poochta houn log marne se akhir kyoun darte hain?
wohi subah wohi sham or wohi raat
wohi dard, wohi tanhai or wohi baat
lagta hai zindagi ke shab’wa’roz replay hote hain
ham se ziyadah shaid he koey mazloom hoga janab
kya qayamat hai ke phir be zaalim ham he kehlate hain
bees saal ke umar main zindagi se dil bhar gaya
yaro rona to yeh hai, bees saal abhi rehtay hain
itna akhir kyoun, kaisay or kis liyay jiyain o_zaalim?
ab to zindagi se nafrat, or maut ke duain kartay hain