Palkon ki chilmanoN kay taaray bikhar na jaiN
KhawaboN ki meri dunya tareek kar na jaiN
Aakar qareeb meray phir tum chalay na jaana
Damaan-e-aarzo ki kaleyan bikhar na jaiN
Sahra bhi mangtay haiN sarmaya dhoop ka yeh
Warna sarab saray rahoN maiN mar na jaiN
Mitti ka ik gharoNda sahil pay kia banana
LahroN ki phir himayat karnay bhanwar na jaiN
MoujeiN bhi janti haiN sab hoslay hamaraY
Ham sarphiray haiN itnay tofaaN dar na jaiN
Sargarmi-e-mohabbat ahl-e-junooN ki basti
ahl-e-khirad say kahdo hargiz udhar na jaiN
Khushbo ki tarha phailee youN tujh say ashna’ye
Dar hai kay badnaam kar na jain hamein ye ghazleiN
Tashna labi salamat aatay haiN maikada woh
Khushboo khiyal rakhna paimanay bhar na jaiN
Aryaan
2
Excellent** Shab-e-Hijar**..:k:
Re: Ham sarphiray haiN itnay tofaaN dar na jaiN
wah shabo ji.....bohot acha
Re: Ham sarphiray haiN itnay tofaaN dar na jaiN
Zabardast Sharing Ji :~)
Re: Ham sarphiray haiN itnay tofaaN dar na jaiN
shabbo i knw ur sarphirri
:k: nice sharing
muncho
6
[quote=“bheegiyaad, post:13, topic:202050”]
shabbo i knw ur sarphirri
/QUOTE]
lolz, LWT
muncho
7
Re: Ham sarphiray haiN itnay tofaaN dar na jaiN
waah waa bahut aalaaa !!!
Re: Ham sarphiray haiN itnay tofaaN dar na jaiN
bohat khoob
Re: Ham sarphiray haiN itnay tofaaN dar na jaiN
Bohat khoob Chandoo jee.