ham pe sitam karnay ko zamana nikla.

jis ko apna samjha wo hi begana nikla,
ham pe sitam karnay ko zamana nikla.

zulm karnay ki jis nay intaha kar de,
wo apna shinasa purana nikla.

Re: ham pe sitam karnay ko zamana nikla.

aise shanasa ke liye :sannan:

Re: ham pe sitam karnay ko zamana nikla.

shinasa meaning?

Re: ham pe sitam karnay ko zamana nikla.

shanasa = jana pehchana, shanasai+ jaan pehchan.. waise aik lafz aashna bhi hota hai jo ab negative bun gaya hai thanks to shaam ke akhbaraat :)

Re: ham pe sitam karnay ko zamana nikla.

akhbaraat ne kya kiya?

Re: ham pe sitam karnay ko zamana nikla.


bilkul bajaa farmaayaa aap ne...yaqeenan, lafz-e-'shinaasaaN' ruswa-e-zamaana hai.

ek lafz ham Pakistan meN har koii boltaa hai jo isii lafz ke root word se banaa hai...aur, vo lafz hai...shinaaKhtii....as in ShinaaKhtii Card...vaise, afsos k ab angrezii kaa lafz kaa muKhaffaf 'ID' ziyaada maqbooliyat paa chukaa hai.

Re: ham pe sitam karnay ko zamana nikla.

waise hindi main id card ko kia kehte hain?

Re: ham pe sitam karnay ko zamana nikla.

shanakhti card.

Re: ham pe sitam karnay ko zamana nikla.

ye urdu main hota hay :barbie: