***Ham Nay Sanam Ko Khat Likha*** Grumpy

Warning: Hey ab kisi shararti bachay nay is thread ko kisi aur forum mein move naheen karna. Warna maroon gii…:smilestar:

Hamain yeh pata hai woh, bohat hi khoobsoorat hai
Lifafay kay liye laikin, patay ki bhi zaroorat hai.

Ham nay sanam ko, khat likha, khat mein likha.
Aye dil ruba, dil ki galli, shehr-e-wafa
Ham nay sanam ko, khat likha, khat mein likha.

Peepal ka yeh pata naheen, kaghaz ka yeh tukra naheen
Is dil ka yeh armaan hai, is mein hamari jaan hai:love:
Esa ghazab ho jaye na, rastay mein yah kho jaye na…:bummer:

Hamnay bardi taqeed ki, dala issay jab daak mein, yeh daak baboo say kaha
Ham nay sanam ko, khat likha, khat mein likha.
.
.
Pohnchay yeh khat janay kahan?
Janay banay keya dastan?
Us par raqeeboon ka yeh dar
Lag jaye unkay haath gar
Kitna bura anjam ho
Dil muft mein bad naam ho

Esa na ho, esa na ho, apnay Khuda say raat din, manga kiye ham yeh dua.
Ham nay sanam ko, khat likha, khat mein likha.
.
.
Barsoon jawab-e-yaar ka, dekha kiye ham rasta
Ik din woh khat wapas mila, aur dakiye nay yeh kaha

Is daak khanay mein naheen,:bummer: Saray zamanay mein naheen.:grumpy:
Koi sanam is naam ka, koi galli is naam ki, koi shehr is naam ka.:naraz:

Ham nay sanam ko, khat likha, khat mein likha.

PS: :cb:

Re: Ham Nay Sanam Ko Khat Likha Grumpy

yeh khat mainay pehli bhi para hai.. :D

Mud

Re: Ham Nay Sanam Ko Khat Likha Grumpy

Haan, moved ho geya tha..:grumpy:

Re: Ham Nay Sanam Ko Khat Likha Grumpy

to aap nay ussay phir wapais luta diya?

Re: Ham Nay Sanam Ko Khat Likha Grumpy

Haan.:bummer:

Re: Ham Nay Sanam Ko Khat Likha Grumpy

Woh thread jo meney move kee thee?

Re: Ham Nay Sanam Ko Khat Likha Grumpy

Haan..:snooty: Koi shararti bacha tha jis nay yeh harkat ki thi.

Re: Ham Nay Sanam Ko Khat Likha Grumpy

Jab aik baar thread move hogayi, tou iss sey koi sabaq nahi seekha? Mein sikha deta hoon: That means don’t do the same thing again :smilestar: Mein yeh wali thread wahan move nahi kar raha hoon because I don’t want to have 2 same threads there, so I’ll just lock it. Don’t open it again, use the poetry forum for poetry threads :smilestar: