ham ko to gardish-e-haalaat pe ronaa aaya
rone vaale tujhe kis baat pe rona aaya
kaise mar-mar ke guzaari hai tumhe.n kya maaluum
raat bhar taaro.n bharii raat pe rona aaya
kitane betaab the rim_jhim me.n piyenge lekin
aa_ii barasaat to barasaat pe ronaa aaya
kaun rotaa hai kisi aur ke Gham ki Khaatir
sab ko apani hi kisi baat pe rona aaya
‘Saif’ ye din to qayaamat ki tarah guzara hai
jaane kya baat thi har baat pe rona aaya