ham jaisaa hai kabhi tu ham se judaa hai
paThar ki moortoN meiN samjha hai tu khuda hai
ik noor ik ruh ik jaan hai sabh meiN
kaya roop hai tera apni apni razaa hai
khudgarz hai insaaN shaitaaN hai insaaN
deenOdharam iski fitrat ki dawaa hai
dairOharam ki deewareiN jab giraane lageN log
socheN ki ye dharam nayaamat hai ya kazaa hai
paThar to hai paThar butt Gautam ka ya Kaba
darja ibaadat ka inheN moman ka diyaa hai
ham ashk na jaane sajda kareN kiska
har rahbar kahe meraa khuda sab se baRaa hai