Ham hii me.n thii na koii baat, yaad na tum ko aa sake
Tumne hame.n bhulaa diyaa, ham na tumhe.n bhulaa sake
Tum hii na sun sake agar, qissaa-e-Gam sunegaa kaun
Kis kii zubaa.N khulegii phir, ham na agar sunaa sake
Shauq-e-visaal hai yahaa.N, lab pe savaal hai yahaa.N
Kis kii majaal hai yahaa.N, ham se nazar milaa sake
Raunaq-e-bazm ban gaye lab pe hikaayate.n rahii.n
Dil me.n shikaayaten rahii.n lab na magar hilaa sake
Ahal-e-zabaa.N to hai.n bahut koii nahii.n hai ahal-e-dil
Kaun terii tarah “hafeez” dard ke geet gaa sake
.. enjoy ..
To see a world in a grain of sand
And heaven in a wild flower
Hold affinity in the palm of your hand
And eternity in an hour