**Duniya ke loag khushiyaan manaane mein reh gaye **
**ham bad-nasiib ashk bahaane mein reh gaye **
**kuchh jaaN- nissaar aise bhi guzare hain dehr mein **
**mit kar bhi jinn ke naam, zamaane mein reh gaye **
**mismaar ho gayaa thaa mera ghar fasaad mein **
**taa- umr apnaa ghar hi banaane mein reh gaye **
**aansuu chhalak pare tau, khabar sab ko hi gayii **
**ham apne dil ke daagH chhipaane mein reh gaye **
**khud sar-baland ho na sake uumr-bhar kabhii **
apne hariif ko jo jhukaane mein reh gaye
**sikhaa nahiin zamaane se chhotaa sa ik sabak **
**taa-uumr duusron ko sikhaane mein reh gaye **
**apne hunar se aur tau zardaar ban gaye **
ham loag khote sikke chalaane mein reh gaye
**insaan bhi jalaaye gaye lakriyon ke saath **
ham hain k apni jaan bachaane mein reh gaye
2 Likes
Re: ham hain k apni jaan bachanay mein rah gaey
nice :k:
K337
3
Re: ham hain k apni jaan bachanay mein rah gaey
khud sar-baland ho na sake uumr-bhar kabhii **
**apne hariif ko jo jhukaane mein reh gaye
*sikhaa nahiin zamaane se chhotaa sa ik sabak *
*taa-uumr duusron ko sikhaane mein reh gaye *
<!-- google_ad_section_end -->
nice:D
Re: ham hain k apni jaan bachanay mein rah gaey
very nice :k:
Re: ham hain k apni jaan bachanay mein rah gaey
nice one.. zabardast !
Re: ham hain k apni jaan bachanay mein rah gaey
Bohattt khoob.. 
Re: ham hain k apni jaan bachanay mein rah gaey
thanx

Bhot KhooB Janaab. Excellent Choice. :k:
muncho
9
Re: ham hain k apni jaan bachanay mein rah gaey
khud sar-baland ho na sake uumr-bhar kabhii
apne hariif ko jo jhukaane mein reh gaye
sikhaa nahiin zamaane se chhotaa sa ik sabak
taa-uumr duusron ko sikhaane mein reh gaye
apne hunar se aur tau zardaar ban gaye
ham loag khote sikke chalaane mein reh gaye
so true
Re: ham hain k apni jaan bachanay mein rah gaey
thanx
Re: ham hain k apni jaan bachanay mein rah gaey
Buhat Aala :~)
Re: ham hain k apni jaan bachanay mein rah gaey
thanx PeeK
Re: ham hain k apni jaan bachanay mein rah gaey
U R Always welcome :D
Daanie
14
Re: ham hain k apni jaan bachanay mein rah gaey
buhut khoob :)
muddii
15
Re: ham hain k apni jaan bachanay mein rah gaey
*kuchh jaaN- nissaar aise bhi guzare hain dehr mein *
*mit kar bhi jinn ke naam, zamaane mein reh gaye *
Great:)
Re: ham hain k apni jaan bachanay mein rah gaey
Nice........
Re: ham hain k apni jaan bachanay mein rah gaey
*mismaar ho gayaa thaa mera ghar fasaad mein *
*taa- umr apnaa ghar hi banaane mein reh gaye *
*****<!-- google_ad_section_end -->*
bahot khuub choice kuriye...esp these lines!
Re: ham hain k apni jaan bachanay mein rah gaey
dats great!!!
Ali_2
19
Re: ham hain k apni jaan bachanay mein rah gaey
Nice :k:
Re: ham hain k apni jaan bachanay mein rah gaey
again thanx eve 1