khush haal say tum bhi lagtay ho
youn afsurda tou hum bhi nahin
par jaan`nay waalay jaantay hain
khush tum bhi nahin, khush ham bhi nahin
tum apni khuddi kay pehray main
aur daam-e-ghuroor main jakray huay
hum apnay zoum kay nirghay main
anaa haath hamaara pakray huay
ik muddat say ghaltaan paichaan
hum apnay aap say uljhay huay
pachtawoon kay angaaroun main
mahzour-e-talatum aaj bhi ho
go tum ne kinaaray dhoond liye
toofan say sanbhalay hum bhi nahin
kehnay ko sahaaray dhoondh liye
khamoush say tum, hum mehar-ba-lab
jug beet gaye, tuk baat kiye
suno khail adhoora chhorrtay hain
bina chaal chalay, bina maat diye
jo bhaagtay bhaagtay thak jayein
woh saaye ruk bhi saktay hain
chalo torro qasam iqraar karein
ham donoun jhuk bhi saktay hain
very-nice---
zaber10:k:
thanx!
thanx sawera n ghazal kisi ki....
bahut khoob !
thanx Lamhay Ji....