--Ham Aseeraan-e-wafa..!!

Ham Aseeraan-e-wafa..!!

** kis qadar sakht hai ay jaan-e-jahaN hijr ki raat..**
** koi aawaz, na aahaT, na hi jeenay ka suraagh..**
** mohr ba lab hai khamoshi bhi kaii barsoN say..**
** chaand taaray haiN falak par.. na zameeN par hai charaagh..**
** roshni bhi meri taqdeer say khaaif ho kar..**
** mere aangan say bohat door raha karti hai..**
** habs itna hai k munh zor hawa ki saansaiN..**
** meri dehleez ko chu laiN.. to ukhaR jati haiN..**
** aur aisay maiN sitam daikh k ay jaan-e-jahaN..**
** zehn k band kawaRoN pe hai dastak daita..**
** zeena-e-shab say utarta teri yaadoN ka hajoom..**
** khushk pattoN sa bikhartay tere w’adoN ka hajoom..**
** koocha-e-jaaN maiN yooNhi raat gaye phailti hai..**
** chand bikhray huwe, TooTay huwe khaaboN ki kasak..**
** jaisay sookhay huwe be jaan gulaaboN ki mehak..**
** soch.. aisay maiN dar-e-yaar say Thukraaye huwe..**
** apni saansoN say bhi, dhaRkan say bhi uktaaye huwe..**
** ham aseeraan-e-wafa.. zehr-e-jafa khaaye huwe..**
** kis tarah jeenay ka samaan kiya kartay haiN?..**
** aur har roz.. meri jaan.. kiya kartay haiN..!!

By Kanch ki mehroo ~
**

Re: --Ham Aseeraan-e-wafa..!!

Mesmerizing stuff :k: … bohat hi zabardast nazm hey… thanx for sharing it with us Gul :slight_smile:

By the way, she knows? :wink:

Re: --Ham Aseeraan-e-wafa..!!

Bohat Khoob GuL-e-Tasbeeh..:k:

Re: --Ham Aseeraan-e-wafa..!!


aur aisay maiN sitam daikh k ay jaan-e-jahaN..
zehn k band kawaRoN pe hai dastak daita..
zeena-e-shab say utarta teri yaadoN ka hajoom..
khushk pattoN sa bikhartay tere w'adoN ka hajoom....

B0ht kh00b.. .....

Re: --Ham Aseeraan-e-wafa..!!

kalaam achchhaa hai...to kia aap KaaNch kii MeHroo haiN? maiN unheN ek dusrii site se jaantaa huN...shaayad yeh nazam us site pe bhii paRhii hai. she is a great shaa'ira mashaa Allah :)

Re: --Ham Aseeraan-e-wafa..!!

Nice one :k:

Re: --Ham Aseeraan-e-wafa..!!

nice one

Re: --Ham Aseeraan-e-wafa..!!

Bery NIce Sharing GuL Sis :-)

Re: --Ham Aseeraan-e-wafa..!!

bohat alaa azaad nazam hai.

Re: --Ham Aseeraan-e-wafa..!!

I dont know :bummer:

No I am not …
maiN ne bhi ussi site pe paRhi thi shaaid :slight_smile:

thanks all…

Re: --Ham Aseeraan-e-wafa..!!

Bohot alaa

Re: --Ham Aseeraan-e-wafa..!!

:hehe: