ham aisay marg-talab bhi na thay muhabbat maiN
keh jalti aag kay darya mai bay-khatar jaatay
(yaqeen jaan, meri jaaN keh ham thehar jaatay)
tumhari aankh kay aansu na thay, seel-e-aab na thay
chhalak bhi jaatay agar, rizq-e-khaak ho jaatay
(misaal-e-qatra-e-shabnam, chamaktay, kho jaatay)
raha woh harf-e-wafa jis ki sabaz konpal par
tumhaaray bosa-e-lab say gulaab jaagay hain
(so woh gulaab to kompal say cut bhi saktay hain)
rahay woh khuaab jo aankhon kay aabgeenoN main
dhanak kay rang liyay doltay say rehtay hain
(so aisay khuaab to aa kar palat bhi saktay hain)
so baat harf-e-wafa ki hay na khuaabon ki
na doltay huway rangon say pur gulaabon ki
samay kay charrhtay utartay huway samandar mai
sab aik pal ki haqeeqat
sab aik pal ka saraab!
diloN mai tark-e-tamanna ka hosla ho agar
to kaisa harf-e-wafa!
aur kahaan kay khuwaab-o-gulaab!!
yeh kaisay dasht-e-nidaamat mai ghir gaey ay-jaaN
keh ikk to tark-e-tamanna ka hosla bhi nahi
aur uss pe yeh bhi qayaamat
agar - befarz-e-mahaal
tumhari raah say phirnay ka hosla bhi milay!
palat kay jaaeyn kahan, ghar ka rasta bhi milay!!
mera wujood hay aur shehr-e-sangbaaraaN hay
bachaaon jaan keh ta'meer-e-qasr-e-zaat karoon
mai apna haath baghal mai dabaaey sochta hoon
meray naseeb mai sooraj kahan jo baat karoon
mai waadiyoN ki masaafat say kis liyay nikloon
safar ikk aur pahaaRon kay paar rakha hay.
[QUOTE] Originally posted by hayaa: *
**mera wujood hay aur shehr-e-sangbaaraaN hay
bachaaon jaan keh ta'meer-e-qasr-e-zaat karoon
mai apna haath baghal mai dabaaey sochta hoon
meray naseeb mai sooraj kahan jo baat karoon*
mai waadiyoN ki masaafat say kis liyay nikloon
safar ikk aur pahaaRon kay paar rakha hay.
[/QUOTE]