aik martaba aik shaks beemar parr gaya koe kehta ha iss ko koneen doo koe kehta thaa keh iss ko doctor kay pass lay jaoo.. gharz jitnay munh untee batain isse tarhaa aik shaks nay kah keh issay foran halwa khillao yeh suntay he beemaar nay aankhain kholeen aur kaha keh bhaiyoon koe iss bhee to sunoo aur phir bayhoosh hoo gaya…
boorhaa aadmee aik daftar kay manage say " aap kay haan aik larka kaam karta hai khalid main uss kaa daada hon kya uss say mill sakta hoon " manager afsoos kay saath " mujhay afsos hai aap dair say pohanchay woh aap kay janazay main shirkat kay liay jaa chukka hai"
ustaad shagird say " ittifaaq ko jumlay main istehmaal karoo "
shagird" ittifaak say mairee ammi aur abbu kee shaadi aik he dinn hoe"
do larkay shaikhyaan maar rahay thay aik nay kaha " mairay mamoon bohat barray aadmi thay behray hind unhoon nay khooda hai aur uss say jo mitti niklee hee uss say unhoon nay kohay hamaliya banna diya thaa"
doosra bola yeh to koe barri baat nahien tum nay dead sea kaa naam sunna hai.. uss ko mairay mamoon nay he maara thaa...
aik bacha apni daadi amman say " daadi amman kya aap pehly stage par kaam karthee theen?"
daadi " nahien to kyoon "
iss par bacha bola phir ammi kyon keh rahe then keh loo burhiya aa gae hai aab roz naaiay daramay hoa karrain gay
aik bachay nay apni class teacher ko bataya " mairay ammi abbu mairay liay aik chotti see behan laaiay hain"
" kya woh aap ko achi lagtte hai? " teacher nay poocha .
" jee haan! achi to lagtee hai laiken agar woh larka hotee to ziyada mazaa aata .. phir main uss say khoob khalta "
" to phir aap apni ammi abbu say kahain keh uss ko tabdeel karr keh bhai lay aaian" teacher nay kaha
bachay nay afsoos kay saath jawab diya . aab yeh mumkin nahein hai.. kyonkeh hum uss ko 3 dinn taak use kar chukkay hain "
aik shohar nay martay waqt bivi ko naseehat kee
" factory akram kay naam karr dayna"
bivi bolee " main to aslam kay naam karoon gee"
shohar nay kaha " zameen javeed kay naam karr dayna"
bivi bolee " nahien jee main to saleem kay naam karoon gee"
shohar ghussay bola " marr main raha hoon keh tum?"
mairay dill mairay mussafir