Halat-e-shehr k guman se dar lgta hai

Halat-e-shehr k guman se dar lgta hai. Aaj insan ko insan se dar lgta hai.

khaak me mil gyi KARACHI ki haseen roshniyan.
Ab to khud apni he pehchan se dar lgta hai.

Shehr ka shehr pareshan hai, afsurda hai.
Tazkara-e-kaar-e-shaitan se dar lgta hai.

Jane kb kon kisse maar dey Shia, Sunni keh kar.
Ab musulman ko musulman se dar lgta hai.

Kon aaye ga humay pyar sikhaane ya RAB
wehshat-e-hazrat-e-insan se dar lgta hai.

Re: Halat-e-shehr k guman se dar lgta hai

:( ALLAH MIAN Pakistan ke halaat pe reham karein (Aameen)

and hum sabko hidayat dein and insaniyat ataa karein jo hum mein khoo chuki hai (Aameen) :)

Re: Halat-e-shehr k guman se dar lgta hai

Enter10 asr k time :hayaa:

Re: Halat-e-shehr k guman se dar lgta hai

Jane kb kon kisse maar dey Shia, Sunni keh kar.
Ab musulman ko musulman se dar lgta hai.
sab game hai.. game on hai :bummer:

Re: Halat-e-shehr k guman se dar lgta hai


:(

Re: Halat-e-shehr k guman se dar lgta hai

na-maloom afraad ne enter10 ka half day karwa dia :hehe:

Re: Halat-e-shehr k guman se dar lgta hai

woh bhi kya waqt tha jab karachi sab ko panah deta tha,sab ki rozi ka sabab banta tha,bazaron mein din ki nisbat raat ko ziada ronaq hoti thi

Re: Halat-e-shehr k guman se dar lgta hai

Is mein Behosh hony wali konsi baat hy…?:hmmm:

Sahi Farmaya Aapny…
Dhanda hy per Ganda hy Ye…:teary3:

ji…wohi naMaaloom Afraad…Jinka Sabko pata hy…:hehe:

:frowning:

Re: Halat-e-shehr k guman se dar lgta hai

:hehe:

tou aaj chutti thee janab ke ?

Re: Halat-e-shehr k guman se dar lgta hai

uss waqt ke qissey suney hain maine :(