Halaat badal jatay hain

Sabhi Jazbaat khayalaat Badal jatey hain.

yoon mohabbat mein yeh din raat badal jatey hain,

pyar to un ko bhi humhi se hai magar janey kiun?

hum karen baat to wo baat badal jatey hain,

Aarzu to hai izhar-e-mohabbat kar doon,

lafz chunta hoon to lamhaat badal jatey hain,

Kitni Nafrat thi kabhi ahl-e-mohabbat se?

HO mohabbat to khayalaat badal jatey hain,

ek sa waqat mohabbat mein kahan rehta hai,

Gardish-e-waqat se halaat badal jatey hain

Re: Halaat badal jatay hain

:k:

Nice :k:

Re: Halaat badal jatay hain

khuub :)

Re: Halaat badal jatay hain

thnx

Re: Halaat badal jatay hain

sochne wali baatein hein...

Re: Halaat badal jatay hain

^ yani k mushkil batein hain?

Beautiful choice dead:)