Illaj Bilghizaa!
Jehan tuk kaam chalta hoa ghiza se
Wahan tuk chaheeyeh bachna dawa se
Agar khoon kum bannay; bulghum ziada
Tu kha gajjar; channay; shulghum ziada
jiggar kay bul pe hai insaaan jeeta
Agar zauhuffay jiggar hai kha papeeta
Jiggar mein hoa agar garmeen ka ehsas
Murrabba aamla kha yaa annanaas
Agar hoati hai maiday mein girani
Tu pee lay saunf ya udrak ka pani
Thukkan se houn agar azlaat dheelay
Tu fourrun dhood garma garm pee lay
Jo dukhta hoa gala nuzlay ka maray
Tu kar nimkeen pani kay gharraray
Agar hoa dard se dantoun kay bay kal
Tu unglee se massurroun per numuk mul
Ju taqat mein kammee hoati hoa mehsoos
Tu misri ke dali Multan ke chous
Shifa chaheeyeh agar khansi se jaldee
Tu pee lay dhood mein thurri se haldee
Agar kaanoun mein kuch taqleef hoaway
Tu sirsoun ka tail phaaey se nichorray
Agar ankhoun mein parr jatay houn jaalay
Tu dhuknee mirch ghee ke sath kha lay
Tap dik se agar chaheeyeh rihaahie
Badl pani kay ganna choos bhai
Dumma mein yeh ghiza hai achee
Khathai chorr kha darya ke machlee
Agar tujj ko lagay jarray mein sardee
Tu istemaal kar anday ke zardee
Jo badhazmee mein tu chahay affaqa
Tu do ek waqt ka tu kar lay faaqa