Hakeem Anwaar Quraishi .

Qibla mujhay ajeeb ajeeb beemariaaN ho gai hain - Khuda Raa koi illaj bataaieyaay

  1. AnkhaaiN band kar laitaa hoon tu kuch nazar nahi ata :bummer:
  2. 3 waqt khanaa na khaaon tu bhook lagnay lagti hay :o
  3. Moo dhoota hoon tu sara moo geela ho jata hay :grumpy:

Please mujhay bataaieyaay main kyaa karoon :crying:

abhi tu mairay hansnay khailnay kay dinn hain
abhi say itnee sari beemariooN nay ghaair liyaa hay :frowning:

Re: Hakeem Anwaar Quraishi .

:jhanda:

i hope daaNt na parhay

Re: Hakeem Anwaar Quraishi .

tum hakeem ho ? :hoonh:

Re: Hakeem Anwaar Quraishi .

:eek: ITS HERE!!

Re: Hakeem Anwaar Quraishi .

bhai aap Ispaghol ko dahi maiN millaa kar dau khaanaY kaY chamchaY sonaY kaY baa’d aur dau uThnaY saY pehlaY khaa liyee kijiye:flower1:

Me’daa durust rahai gaa tau khwa ma khaa dimaagh par hamlaa aawar naheeN ho gaa :halo:

mazeed baraaN! nahaataY waqt paani say mukammal parhez aur khaataY waqt moonh ko bund rakhnaY saY ifaaqaY kee ummeed kee jaa saktee hai

:jhanda:

Re: Hakeem Anwaar Quraishi .

hakeem sahib - agar aik choota compressor garage main lagwaa loon aur pipe bathroom main lay aaon - tu compressed air kaisi rahay gi nahanay kay liyaay ? :)

Re: Hakeem Anwaar Quraishi .

hawaa kay ikhraaj saY aap kee wuzu mashkook ho saktee hai. Pipe ka istemaal sehat kaY liYe muzir hai!

Wizarat-e-Hikmat!

Re: Hakeem Anwaar Quraishi .

hakeem sahib - wuzu tu compressor ki mashkook ho gi :blush:

Re: Hakeem Anwaar Quraishi .

tau iss par aap kiouN sharmindah ho rahai haiN…:smiley:

Re: Hakeem Anwaar Quraishi .

hawa mairee taraf aa rahi hay :grumpy:

Re: Hakeem Anwaar Quraishi .

aap naY kiss cheez kaa naam hawaa rakha hai :rolleyes: ?

Re: Hakeem Anwaar Quraishi .

lol :hehe: