Haiy Kiya Din THay Woh Jub Tairay Baghair.....!!!

Hiay Kiya Din Thay woh Jub Tairay Baghair
Aaitbaar-e-Jism O Jaan Na Tha

Tairay Hoonay Say Tha Her Shay Ka Wajood
Yeh Zameen Yeh Aasmaan Kuch Bhee Na Tha

Chandni Gard-e-Khuram-e-Naz Thee
Jalwa Gah-e-Kehkishaan Kuch Bhee Na Tha

Woh Shagufta Hount Jin Key Chah Main
Dil Ka Khun Jee Ka Ziyaan Kuch Bhee Na Tha

Zulf-e-Aawara Kay Jiss Kay Roobaroo
Saya-e-Abar-e-Rawan Kuch Bhee Na Tha

Thee Zameen Shaadab Taiary Husn Say
Warna! Zair-e-Asmaan Kuch Bhee Tha

Iss Tarah Toota Talism-e-Aarzoo
Tha Jahan Sub Kuch Wahan Kuch Bhee Na Tha

Mit Gaieen Yun Dil Key Hashar Angaiziaan
Jaisay Yeh Afsurda Jaan Kuch Bhee Na Tha

Kiya Tairay Ghum Kay Khizanay Lutt Gaiy?
Kiya Woh Khawaboon ka Jihaan Kuch Bhee Na Tha?

Yun Uthaya Hai Tairee Furqat Ka Gham
Jaisay Kooh-e-Giraan Kuch Bhee Na Tha

Jaisay Ik Mohoom Say Ghum Kay Siwa
Tairay Mairay Gham Kay Darmian Kuch Bhee Na Tha

Wao !

very nice muddi gi :k:

zabar10

Suchiiiiiiiiii;)
hehehehehehehehe

Thanxxxxxxx Arifnawaz and Munir Bhai

Re: Haiy Kiya Din THay Woh Jub Tairay Baghair.....!!!

[QUOTE]
*Originally posted by Muddi: *
Hiay Kiya Din Thay woh Jub Tairay Baghair
Aaitbaar-e-Jism O Jaan Na Tha

Tairay Hoonay Say Tha Her Shay Ka Wajood
Yeh Zameen Yeh Aasmaan Kuch Bhee Na Tha

Chandni Gard-e-Khuram-e-Naz Thee
Jalwa Gah-e-Kehkishaan Kuch Bhee Na Tha

Woh Shagufta Hount Jin Key Chah Main
Dil Ka Khun Jee Ka Ziyaan Kuch Bhee Na Tha

Zulf-e-Aawara Kay Jiss Kay Roobaroo
Saya-e-Abar-e-Rawan Kuch Bhee Na Tha

Thee Zameen Shaadab Taiary Husn Say
Warna! Zair-e-Asmaan Kuch Bhee Tha

Iss Tarah Toota Talism-e-Aarzoo
Tha Jahan Sub Kuch Wahan Kuch Bhee Na Tha

Mit Gaieen Yun Dil Key Hashar Angaiziaan
Jaisay Yeh Afsurda Jaan Kuch Bhee Na Tha

Kiya Tairay Ghum Kay Khizanay Lutt Gaiy?
Kiya Woh Khawaboon ka Jihaan Kuch Bhee Na Tha?

Yun Uthaya Hai Tairee Furqat Ka Gham
Jaisay Kooh-e-Giraan Kuch Bhee Na Tha

Jaisay Ik Mohoom Say Ghum Kay Siwa
Tairay Mairay Gham Kay Darmian Kuch Bhee Na Tha
[/QUOTE]

gr8 one!

nice nice nice:)

Re: Haiy Kiya Din THay Woh Jub Tairay Baghair…!!!

bhut achay:k:

Superb :k: