Hairatoun Kay Silsalay Sooz-e-Nehaan Tak Aa Gaiy....!!!

Hairatoun Kay Silsalay Sooz-e-Nehaan Tak Aa Gaiy
Hum Nazar Tak Chahtay Thay Tum Tu Jaan Tak Aa Gaiy

Namuradii Apni Qismat Gum-Rahi Apna Naseeb
Kaarvaan Key Kahir Hu Hum Karvaan Tak Aa Gaiy

Unn Key Palkoun Par Sitaray Apnay Hontun Par Hasii
Qisa-e-Gham Kehtay Kehtay Hum Khan Tak Aa Gaiy

Apni Apni Justaju Hai Apna Apna Shouq Hai
Tum Hasii Tak Bhee Na Pounchay Hum Fugaan Tak Aa Gaiy

Zulf Main Khusbu Na Thee Ya Rang Aariz Main Na Tha
App Kis Key Arzoo Main Gulistaan Tak Aa Gaiy

Rafta Rafta Rang Laya Jazba-e-Khamoosi-e-Ishq
Woh Taghaful Kartay Kartay Imtihaan Tak Aa Gaiy

Khud Tumhain Chak-e-Ghareeban Ka Shaoor Aa Jaiy Ga
Tum Vahan Tak Aa Tu Jaoo Hum Jahan Tak Aa Gaiy

[quote="muddii, post:32, topic:185630"]

Hairatoun Kay Silsalay Sooz-e-Nehaan Tak Aa Gaiy
Hum Nazar Tak Chahtay Thay Tum Tu Jaan Tak Aa Gay

Unn Key Palkoun Par Sitaray Apnay Hontun Par Hasii
Qisa-e-Gham Kehtay Kehtay Hum Khan Tak Aa Gaiy

in du sheron ka jawaab nhi.....thanks 4 sharing

very nice1 :k:

Re: Hairatoun Kay Silsalay Sooz-e-Nehaan Tak Aa Gaiy…!!!

wahhh amazing :k:


Thank u Safia jii:)

Thank u Shab:)

Thank u Sheal:)

Re: Hairatoun Kay Silsalay Sooz-e-Nehaan Tak Aa Gaiy....!!!

nice 1 muddi g :)

Re: Hairatoun Kay Silsalay Sooz-e-Nehaan Tak Aa Gaiy…!!!

Bhot khoob Muddi.
Bhot zabardast. :k:

maza aaya parh kar.


Thank u:)

Thank u Abla_pa:)