“Hairat Gondvi” ki ik ghazal ke chand sher --------
Muhabbat mein inkaar kitna hansi hai
yeh andaaz-e-ikraar kitna hansi hai
Zara aaina dekh O husn waaley
bata dey mera pyar kitna hansi hai
kisi ki nadamat mein num ho gaya hai
tera aaj rukhsaar kitna hansi hai
Gulon se nahi shaakh ke dil se poochho
yeh badnuma khar kitna hansi hai
hua tha jo “Hairat” juda sabse pehle
Garebaan ka woh taar kitna hansi hai..