Hairaan hoon k yeh kon sa dastoor-e-wafa hai

**Hairaan hoon k yeh kon sa dastoor-e-wafa hai,
Tu misl-e-rag e jaan hai to kioun mujh se juda hai,

Tu ehl-e-nazar to nahi tujh ko khabar kia,
Pehlu mein tere koi zamanay se khara hai,.

Likha hai mera naam samander peh hawa ne,
Aur dono ki fitrat mein sakoon hai na wafa hai,

Uthti hain jo pehlu se mere dard ki lehrein,
Betaab samander koi seenay mein daba hai,

Ay zeest k dozakh se guzartey huay lamho,
Socha hai kabhi tum ne keh jeena bhi saza hai**

Re: Hairaan hoon k yeh kon sa dastoor-e-wafa hai

samander ko kuch na kahain :naraz:

Re: Hairaan hoon k yeh kon sa dastoor-e-wafa hai

**Likha hai mera naam samander peh hawa ne,
Aur dono ki fitrat mein sakoon hai na wafa hai,

:hmmm:
**

Re: Hairaan hoon k yeh kon sa dastoor-e-wafa hai

samandar ko ya samandar khan ko :stuck_out_tongue:

Hairaan hoon k yeh kon sa dastoor-e-wafa hai

Hmmmm :hmmm: