Hai waqt-e-aser umar ka nazdik sham hai,
Jeena hai is tarha sy kay jene ka nam hai,
Ik roz meri zeest ka alam bi aa ky daikh,
Kuch roza zindagi to hai phir ikhtitam hai,
Wallah ab to ladny ki taqat nehi rehi,
Tooti hui kumand hai khali niyam hai,
Ab behr ko bi payas main rakhe to kya karon,
Dastoor-e-zuljalal khuda ka nizam hai,
Arsa hua ky jism pay sansen bi bojh hen,
Ae rooh! Too bata kay ye kya intiqam hai,
Dair-o-haram se door hi achi hai zindagi,
Apna to ishq azal se abed tak imam hai,
Dunya ko ye bata do mera khoof chod dain,
Do chaar dam bache hen do din ka qayam haiā¦!!!