hai.n toofan bhi raaho.n mein, ghabraaya na karo
zamaane ke darr se tum darr jaaya na karo
dil ko patthar ki terha rakhna mere yaar
ise sheeshe ki terha tum sajaaya na karo
hai.n gham abhi to buht se manzil tak
har modh pe yoo.n aansoo bahaaya na karo
kamzor na padh jaayei.n kadam chalte-chalte
guniya ke diye gham dil se lagaaya na karo
khabar padh jaati hai jab, dil doob jaata hai
gar dard ho koi, tum itna muskuraaya na karo
hai.n imtihaa.n buht se, hai.n mushkilei.n buht si
par mai.n saath-saath hoo.n, yeh bhulaaya na karo
hai.n imtihaa.n buht se, hai.n mushkilei.n buht si
par mai.n saath-saath hoo.n, yeh bhulaaya na karo
Jaan Lewaa saath saath ho to jaan ke siwa or kis ka dar