Arhsad ki choti beti Alia ko kahin se aik kahaaniyun ki kitab mil gai.
Us ne bahut shok se ye kitab apnay papa ko pakra ker fermaish ki,
“Papa” mujhe ye perh ker sunao"
Arshad ne do teen din to kitab se kahani perh ker sunai phir us ko yeh kaam gair dilchasp laga to us ne kahani tape ker li aur jab Alia kahani ki fermaish kerti wo tape on ker deta.
Do teen din to Alia ne berdasht kia lekin aik din phir us ne kitab la ker apne papa ke hath mein pakra di aur kaha! “Papa! Kahani!”.
to wo bola, “magar beta! ab to tumhain khud bhi tape record on kerna aa gaya hai”.
Alia tezi se boli, “ji main tape record chala sakti hoon magar us ki goud mein to nahi beth sakti”.
*Moral is poorani kahanioN ko change kia jaye, ajkal tape recorder kon use karta hai, agar ab Arshad CD player ya BLURAY player use karta to maza bhi ata.
kya unnis so sattar ki story share ki hai, sadkay jayooN.*
Actually, Arshad ko chahiye k woh aik bara sa teddy bear khareedey jiss mein CD player bhi laga ho. Woh CD ko on kar dey aur bachi phir teddy ki goud mein beth sakti hai.
^ Arshad ki behan Alia bhi ab tak juwaan ho gayi ho gi, uska zevar aur jahaiz bhi to banwana hai, magar ye kambakht Arshad har waqt tape recorder sunta rehta hai.
Tape recorder sun-ney sey uska koi faaeda bhi nahi ho raha, dono taraf nuqsan hai.
Behan ki shaadi k liye jahaiz nahi aketha horaya
Beti bhi door jaa rahi hai
Arshad ko chahiye k woh kuch professional classes ley jiss sey woh rishton mein balance rakhna seekh sakey. Mein aik counselor ko jaanta hoon jo Arshad ko discount dey sakta hai.
^ Shikra chandoo, not a bad idea, magar yaar Alia say ab aur intizar nahi ho raha, kahi wo ghar say NASS na jaye. Kiyonkay Arshad ki mohallay say shaqayat ayi thi, kay wo chars bhi peenay lag gya hai apna tape recorder bech kar.
Woh tou bara kameena insan nikla, ussney tou mohalley walon sey qarza bhi liya hua tha aur ooper sey wattey sattey ki shaadi ka waada bhi kiya tha jab uss ney chup kar doosri shaadi kee.
Arshad ko hospital mai Blood A+ ki sakht zaroorat hai, wo chars pee kar galli mai gira hoa paya gya.**Alia pichli raat, kand phalaang kar apnay ASHNA kay saath faraar ho gayi.
So moral is apni deewaroN ko ooncha karaiN, and larkioN ko nike joggers na pehanaiN daiN, warna wo taiz bhaagti haiN.
*
Sir ji moti larkiaN ziyada taiz bhagtee haiN, samja kar, action and reaction forces paida hotee haiN, kuch agay jata hai to kuch peechay, kuch peechay to kuch agay. Engery paida hoti hai aise.