Hai issi main peyar ki abroo
Main wafa karoon wo jafa karey
jo wafa bhi kaam na aah sakey
to wohee kahe ke main keya karoon
mujey ghum be un ka aziz hai
ke unhin ki di huee cheez hai
ye hi ghum hai ab merii zindagi
issey kaisey dil se juda karoon
jo na bun sakey main wo baat hoon
jo na khatamm ho main wo raat hoon
ye likha hai merey naseeb main
yoonheen shamma bun ke jala karoon
na kisee ke dil ki hoon arzoo
na kisee nazar ki hoon justajoo
main wo phool hoon jo udaass ho
na baharr aye to keya karoon
mere sang ab to hai be-bassi
jo na khil sakii main hoon wo kalii
terii yaad mujh ko sataye to
mujhey ye bata k main keya karoon
???
Re: Hai issi main peyar ki abroo
Very Nice Rashid…
:k: