Hai aap ke honton pe jo muskaan wagera,
**Qurbaan gaye is pe dil-o-jaan wagera,
**
Billi to yunhi muft main badnaam huyi,
**Thailay mein to kuch aur tha samaan wagera,
**
Be’hirss o gharzz farzz adaa ki jiye apna,
**Jis tarah police karti hai chalaan wagera
**
Ab hosh nahin koi ke badaam kahan hai,
*Ab apni hatheli pe hain dandaan wagera,
**
Har shirt ki bushratt bana dali hai Anwar,
Yun chaak kiya hum ne garebaan wagera..*