![]()
Koun kehta hai pyaar may pakray jaayengey
Waqt aanay per moonbholay behen bhai ban jaayengey
Tere husn ki kya taareef karoon, tera bander jaisa moonh
Teri zulfon ki kya tareef karoon, teray ek ek baal pe joon
Mohabbat mujhay un jawaanon say hai
Jo khaatay peetay gharanon say hain
Aaj baagh mein kali hai, kal gulaab ho ga
Mujh se shadi kar lo,tum ko sawaab ho ga
(Jo tum say shadi karay, us ka dimaagh kharaab ho ga)
Itnay dino se jalanay nahi aya
Jalti hui aag ko bujhaanay nahi aya
Kehta tha saath jiyengey saath maraingey
Ab rooth gai hoon to wo khotha mananay bhi nahi aya
Tum bhi besahara, hum bhi besahara
Fittay moonh tumhara, fittay moonh hamara
Hum nay usay dekha angle badal ker
Us nay hamay mara sandal badal ker
Dil kay armaa aansuu’on mein beh gaye
Un kay bachay hum ko maamu keh gaye
Hum nay tumhen dil diya dildaar samajh ker
Tum kha gaye is ko naswaar samajh ker
Ishq kay samunder mein ghota lagaya
Pani bohot thanda tha, main baher nikal aya
Un ki gali say guzray, ajab ittefaq tha
Unho nay phool phainka, gamla bhi saath tha
Hum ne un kee yaad mein ro ro k tub bhar diye
woh ayay aur aram se naha ke chal dye