Aik Baddo ney Nabi Akram(Sallalla Ho Alaehe Wasallam) sey poocha
1.)Ya Rasool Allah (Sallalla Ho Alaehe Wasallam), Mein Chahta hoon, sab
sey bara Aalim ban jaon.
Aap (Sallalla Ho Alaehe Wasallam) ney farmaya, Taqwa ikhtiyar ker, Sab sey bara Aalim ban jaey ga.
2.)Baddo ney poocha, Ya Rasool Allah (Sallalla Ho Alaehe Wasallam), Mein Chahta hoon, sab sey bara Ghani ban jaon.
Aap (Sallalla Ho Alaehe Wasallam) ney farmaya, Qana-at ikhtiyar ker, Sab sey bara Ghani ban jaey ga.
3.)Baddo ney poocha, Ya Rasool Allah (Sallalla Ho Alaehe Wasallam), Mein Chahta hoon, sab sey Behtareen ban jaon.
Aap (Sallalla Ho Alaehe Wasallam) ney farmaya, Logo ki khidmat kia ker, Sab sey Behtareen ban jaey ga
4.)Baddo ney poocha, Ya Rasool Allah (Sallalla Ho Alaehe Wasallam), Mein Chahta hoon, meri Khusoosiat qaim ho jaey
Aap (Sallalla Ho Alaehe Wasallam) ney farmaya, Allah ka zikar kasrat sey ker, Allah tujhey Khusoosiat ata farmaey ga
5.)Baddo ney poocha, Ya Rasool Allah (Sallalla Ho Alaehe Wasallam), Mein Chahta hoon, sab sey bara Adal kerney wala ban jaon
Aap (Sallalla Ho Alaehe Wasallam) ney farmaya, Tujhey Jo apney liey pasand hay, wohi auron key liey bhi pasand ker , Allah tujhey sab sey bara Aadil bana dey ga.
6.)Baddo ney poocha, Ya Rasool Allah (Sallalla Ho Alaehe Wasallam), Mein Chahta hoon, sab sey ziyada Izzaton wala ban jaon
Aap (Sallalla Ho Alaehe Wasallam) ney farmaya, Tu Apni zaroorat Allah key siwa kisi ko na bata , Allah tujhey sab sey ziada izzat wala bana deingey.
7.)Baddo ney poocha, Ya Rasool Allah (Sallalla Ho Alaehe Wasallam), Mein Chahta hoon, sab sey bara Taqatwar ban jaon
Aap (Sallalla Ho Alaehe Wasallam) ney farmaya Tu Allah pey yaqeen or tawakkal seekh ja, Allah tujhey sab sey bara Taqatwar bana deingey.
8.)Baddo ney poocha, Ya Rasool Allah (Sallalla Ho Alaehe Wasallam), Mein Chahta hoon, mera Rizq kushaada ho jaey
Aap (Sallalla Ho Alaehe Wasallam) ney farmaya, Ba-wuzu raha ker, Allah tera rizq barha deingey.
9.)Baddo ney poocha, Ya Rasool Allah (Sallalla Ho Alaehe Wasallam), Mein Chahta hoon, meri Duain qabool hon
Aap (Sallalla Ho Alaehe Wasallam) ney farmaya, Haraam khana choor dey, teri
duain qabool hongi.
10.)Baddo ney poocha, Ya Rasool Allah (Sallalla Ho Alaehe Wasallam), Mein Chahta hoon, mera Eeman kaamil ho jaey
Aap (Sallalla Ho Alaehe Wasallam) ney farmaya, Tu apney Ikhlaq achey ker, tera Eeman kaamil ho jaey ga.
11.)Baddo ney poocha, Ya Rasool Allah (Sallalla Ho Alaehe Wasallam), Mein Chahta hoon, qayamat key din Noorani ban key utthoon
Aap (Sallalla Ho Alaehe Wasallam) ney farmaya, Zulm kerna choor dey, qayamat key din noor ban key utthey ga
12.)Baddo ney poocha, Ya Rasool Allah (Sallalla Ho Alaehe Wasallam), Mein Chahta hoon, merey Gunah thorey hon
Aap (Sallalla Ho Alaehe Wasallam) ney farmaya, Astaghfaar ki kasrat ker, terey gunah thorey hon gey.
13.)Baddo ney poocha, Ya Rasool Allah (Sallalla Ho Alaehe Wasallam), Mein Chahta hoon, Allah sey Gunahon sey paak ho key miloon
Aap (Sallalla Ho Alaehe Wasallam) ney farmaya, Jab tu naapak ho jaey to foran Ghusal ker, subha ka intezar na ker, Allah sey gunahon sey paak ho key miley ga
14.)Baddo ney poocha, Ya Rasool Allah (Sallalla Ho Alaehe Wasallam), Mein Chahta hoon, Allah key Farma bardaron mey mera naam likha jaey
Aap (Sallalla Ho Alaehe Wasallam) ney farmaya, Tu Faraaiz ka ehtemam ker, Allah key farma bardaron mey ho jaey ga
15.)Baddo ney poocha, Ya Rasool Allah (Sallalla Ho Alaehe Wasallam), Mein Chahta hoon, Allah or us key rasool ka Mehboob ban jaon, Allah or us ka rasoon mujh sey pyar kerain
Aap (Sallalla Ho Alaehe Wasallam) ney farmaya, Allah or us key rasool ko jo cheez pyari hay, tu bhi us sey pyar ker, Allah tujhey apna pyara bana ley ga.
16.)Baddo ney poocha, Ya Rasool Allah (Sallalla Ho Alaehe Wasallam), Mein Chahta hoon, Ehsaan kerney wala ban jaon
Aap (Sallalla Ho Alaehe Wasallam) ney farmaya, Har waqt Allah ko apni aankhon key saamney rakha ker, Ye ehsaas rakh key Allah har waqt merey saath hay, Ehsaan kerney walon mey ho jaey ga
17.)Baddo ney poocha, Ya Rasool Allah (Sallalla Ho Alaehe Wasallam), Mein Chahta hoon, Allah mujhey apney Ghussey sey bacha ley
Aap (Sallalla Ho Alaehe Wasallam) ney farmaya, Tu auron pey ghussa kerna choor dey, Allah tujhey apney ghussey se bacha ley ga
18.)Baddo ney poocha, Ya Rasool Allah (Sallalla Ho Alaehe Wasallam), Mein Chahta hoon, Allah mujh pey Rehem karey
Aap (Sallalla Ho Alaehe Wasallam) ney farmaya, Tu auron pey reham ker , Allah tujh pey rehem karey ga
19.)Baddo ney poocha, Ya Rasool Allah (Sallalla Ho Alaehe Wasallam), Mein Chahta hoon, Allah merey gunahon ko chupa ley
Aap (Sallalla Ho Alaehe Wasallam) ney farmaya, Tu doosron key gunaho pey parda daal , Allah terey gunahon ko chupa ley ga
20.)Baddo ney poocha, Ya Rasool Allah (Sallalla Ho Alaehe Wasallam), Mein Chahta hoon, Allah mujhey Zaleel na karey
Aap (Sallalla Ho Alaehe Wasallam) ney farmaya, Tu zina(adultery) kerna choor dey, Allah tujhey har zillat sey bacha ley ga
21.)Baddo ney poocha, Ya Rasool Allah (Sallalla Ho Alaehe Wasallam),
Gunaahon sey paak honey ka kia zarea hay
Aap (Sallalla Ho Alaehe Wasallam) ney farmaya, Aansoo bahana, Tawazo ikhtiyar kerna or Beemaar hona.
22.)Baddo ney poocha, Ya Rasool Allah (Sallalla Ho Alaehe Wasallam), sab sey Bura Amal konsa hay
Aap (Sallalla Ho Alaehe Wasallam) ney farmaya, Bad Ikhlaqi or bukhul
23.)Baddo ney poocha, Ya Rasool Allah (Sallalla Ho Alaehe Wasallam), sab sey Baree Naikee kia hay
Aap (Sallalla Ho Alaehe Wasallam) ney farmaya, Achey ikhlaq or sabar kerna
24.)Baddo ney poocha, Ya Rasool Allah (Sallalla Ho Alaehe Wasallam), Dozakh ko kia cheez thanda kerey gi
Aap (Sallalla Ho Alaehe Wasallam) ney farmaya Dunya mey museebaton pey sabar kerna dozakh ko thanda karey ga
25.)Baddo ney poocha, Ya Rasool Allah (Sallalla Ho Alaehe Wasallam), Allah ka ghussa kis cheez sey thanda ho ga
Aap (Sallalla Ho Alaehe Wasallam) ney farmaya, Chupkey chupkey Sadqa kerney
sey or rishtey daron sey acha sulook kerney sey