Hadd-e-fikr say aagay

**Hadd-e-fikr say aagay

Swaal haiN jwaab haiN
Khwaab khwaab khwaab haiN
Halaal na haraam hai
Afqaar kay saraab haiN

Hyaat la-jwaab hai
Aur sabko na-gwaar hai
Hyaat la-hadood hai
Par rooh girftaar hai

Hyaat khud maqaam hai
Aur aadmi khwaar hai
Khwaab bhi yaqeen haiN
Yaqeen bhi to khwaab haiN

Swaal haiN jwaab haiN
Khwaab khwaab khwaab haiN

हद्द-ए-फ़िक्र से आगे (beyond the boundries of thought)

सवाल हैं जवाब हैं
ख्वाब ख्वाब ख्वाब हैं
हलाल न हराम है
अफ़कार के सराब हैं (अफ़कार-thoughts)(सराब-mirage)

हयात ला-जवाब है
और सबको नागवार है
हयात ला-हदूद है (हयात-life)(ला-हदूद-beyond boundries)
पर रूह गिरफ्तार है

हयात खुद मक़ाम है
और आदमी ख्वार है
ख़्वाब भी यक़ीन हैं
यक़ीन भी तो ख्वाब हैं
सवाल हैं जवाब हैं
ख़्वाब ख़्वाब ख़्वाब हैं

------------**

Re: Hadd-e-fikr say aagay

hummm Bhai sachi kahein, kuch khwaab waqee mein waqri hote hein

Waise aap abhi tak zinda ho ya yeh bhi eik sarab hay

Re: Hadd-e-fikr say aagay

thanks for the kind words.

Re: Hadd-e-fikr say aagay

**Hyaat khud maqaam hai
Aur aadmi khwaar hai
Khwaab bhi yaqeen haiN
Yaqeen bhi to khwaab haiN

very nice...

the dicotomy and dilemmas..... that is life....sigh!
beautiful words and lines...

:)
sat**

Re: Hadd-e-fikr say aagay

Thanks a lot for the kind words.

Re: Hadd-e-fikr say aagay

:k:

Re: Hadd-e-fikr say aagay

awesome!
:clap:

**Khwaab khwaab khwaab haiN

**​