haaye logoN kii karam-farmaaiyaaN

**haaye logoN kii karam-farmaaiyaaN
tohmateN, badnaamiyaaN, rusvaaiyaaN

zindagii shaayed isii kaa naam hai
duuriyaaN, majbuuriyaaN, tanhaaiyaaN

kyaa zamaane meN yuuN hii kaTtii hai raat
karvateN, betaabiyaaN, angRaaiyaaN

kyaa yahii hotii hai shaam-e-intizaar
aahaTeN, ghabraahaTeN, parchhaiyaaN

aik paikar meN simaT kar rah gayiiN
KhuubiyaaN, zebaaiyaaN, raanaaiyaaN

zaKhm dil ke phir hare karne lagiiN
badliyaaN, barkhaa ruteN, purvaaiyaaN

“Kaif” paida kar samandar kii tarah
vus’ateN, KhaamoshiyaaN, gahraaiyaaN

Kaif Bhopali**

Re: haaye logoN kii karam-farmaaiyaaN

**tohmateN, badnaamiyaaN, rusvaaiyaaN

**
Becheiniyaan betaabiyaan
Becheiniyaan betaabiyaan
Ye dooriyaan majbooriyaan
Ye dooriyaan majbooriyaan
Mushkil bada ye pyaar hai
Ye pyaar hai

Madhoshiyaan khaamoshiyaan
Madhoshiyaan khaamoshiyaan
Oonchaaiyaan gehraaiyaan
Oonchaaiyaan gehraaiyaan
Mushkil bada ye pyaar hai
Ye pyaar hai

aw ho aw ho
aw ho aw ho
aw ho aw ho
aw ho aw ho

Tanhaaiyaan parchhaaiyaan
Purvaaiyaan shehnaaiyaan
Angdaaiyaan Rrusvaaiyaan
Chingaariyaan dushvaariyaan
Mushkil bada ye pyaar hai
Ye pyaar hai

Mushkil Bada Yeh Pyar Hai [Full Song] (HD) With Lyrics - Gupt ](http://www.youtube.com/watch?v=mwqEjzqswTI)

Re: haaye logoN kii karam-farmaaiyaaN

aw ho aw ho
aw ho aw ho
aw ho aw ho
aw ho aw ho

:rotfl:

Re: haaye logoN kii karam-farmaaiyaaN

Itna Mushkil hy…?:hmmm:

Re: haaye logoN kii karam-farmaaiyaaN

baqi choRen ye

aw ho aw ho
aw ho aw ho
aw ho aw ho
aw ho aw ho

kiya hai?

main to isko

ayyan yayyan yan

samjhta tha

Re: haaye logoN kii karam-farmaaiyaaN

Awesome :k:

Re: haaye logoN kii karam-farmaaiyaaN

aw ho aw ho
aw ho aw ho
aw ho aw ho
aw ho aw ho

is ko kehty hain…Bareek beeni…ek ek cheez pai e unaay …:hehe:

Re: haaye logoN kii karam-farmaaiyaaN

thread kholty hi mujhe bhi yehi laga ke enter10 ne ye song post kia hai shayed

Re: haaye logoN kii karam-farmaaiyaaN

Main ny ye song suna hi nhi…:hehe:

Re: haaye logoN kii karam-farmaaiyaaN

to sun len

Re: haaye logoN kii karam-farmaaiyaaN

pai e unaay ?

Re: haaye logoN kii karam-farmaaiyaaN

mein samjha ap ne net se uthaya ye