TUMS
April 20, 2006, 5:38pm
1
Ek dafa ek chuua ek haati key pinjrey main ghuss jata hai.
Woh haati ko dekh ta hai aur pooch ta hai, “Bhai haati aap itney barrey ho, aap ki kya umar hai?”
Haati bolta hai: Main teen saal ka ho gaya hoon. Tumhaari kiya umar hai chuuey?
Chuua sharma key kahta hai: Umar to meri bhi teen saal hai lekin dar assal bachpan mein meri sahat kharaab rahti thi.
Re: Haati aur Chuua
Arey mian sawaal yeh uth-ta hai kay teen saal tuk yeh Chuha zinda kaisey raha? Aas paas billioon ki kamee hogayi thee, ya phir Chuha Hathee kay saath room share kar raha tha?
Aur yeh Haathi kay pinjrey kubsey bannay lag gaye mian? Unkay paon mein to zanjeer bandhee jaati hai.
:D
TUMS
April 20, 2006, 7:39pm
3
Re: Haati aur Chuua
Dhobi Bhai, khuda key waastai thori see imagination ka istimal kar liya karo, yeh ek latifa hai, Urdu ka Paper nahin!
Re: Haati aur Chuua
dhobi_bhai:
Arey mian sawaal yeh uth-ta hai kay teen saal tuk yeh Chuha zinda kaisey raha? Aas paas billioon ki kamee hogayi thee, ya phir Chuha Hathee kay saath room share kar raha tha?
Aur yeh Haathi kay pinjrey kubsey bannay lag gaye mian? Unkay paon mein to zanjeer bandhee jaati hai.
dhobi_bhai waisay aap critical thinking ka course tu nahi parh rahay hain.