~*~ Haathoon ki yeh lakeerain ... Kyon aksar badal jaati hain ~*~

Raastay badal jaate hain
Manzilain badal jaati hain
Kyon nahe badalte dil
Jo taqdeerain badal jaati hain

Dil wohi rehta hai
Yaadoon ki un-ginat kircheyaan le kar
Aankhoon ki nami chupa kar
Nazrain badal jaati hain

Rooh rehti hai har lamha ashkbaar
Lab hanstay rehte hain
Bahar aur under ki kis tarah
Fizaayain badal jaati hain

Koi hota hai rafta rafta
Zindagi se door, bahut door
Haathoon ki yeh lakeerain
Kyon aksar badal jaati hain …

Re: ~~ Haathoon ki yeh lakeerain … Kyon aksar badal jaati hain ~~

kyonn :lajawab:

Re: ~~ Haathoon ki yeh lakeerain ... Kyon aksar badal jaati hain ~~

zabardast

Re: ~~ Haathoon ki yeh lakeerain … Kyon aksar badal jaati hain ~~

:lajawab:

Re: ~~ Haathoon ki yeh lakeerain … Kyon aksar badal jaati hain ~~

zaberdast :k:

Re: ~~ Haathoon ki yeh lakeerain ... Kyon aksar badal jaati hain ~~

Nyc sharing