haath uThe hain magar lab pe duaa koi nahiin

haath uThe hain magar lab pe duaa koi nahiin
kii ibaadat bhii vo jis kii jazaa koii nahiin

ye bhii vaqt aanaa thaa ab to gosh har aavaaz hai
aur mere barbaad-e-dil mein sadaa koi nahiin

aa ke ab tasliim kar lein tuu nahiin to main sahii
kaun maanegaa ke ham mein bevafaa koii nahiin

vaqt ne vo Khaak uraaii hai ke dil ke dasht se
qaafile guzare hain phir bhii naqsh-e-paa koi nahiin

Khud ko yun mahasuur kar baiThaa huN apanii zaat mein
manzilein chaaron taraf hai raastaa koii nahiin

kaise raaston se chale aur kis jagah pahuNche ‘Faraz’
yaa hujuum-e-dostaa.N thaa saath yaa koii nahiin

kabhi kabhi shairi ki hadood meri samj main nahin atin!

:k:

:k:

aa ke ab tasliim kar lein tuu nahiin to main sahii
kaun maanegaa ke ham mein bevafaa koii nahiin

ouch :bummer:

very nice :k:

beauty:k: