sodaii
1
Jo tera dour-e-urooj hai wohi mera waqt-e-zawaal hai
Mein hun fanna kai safar mein, mujhay rokna mohaal hai
kis say poocho’n yeh dastaan, mera gahar kese jal gaya
haath mai angaar liye , har shakhus sarapa sawal hai
kabhi chupkay chupkay ro diya, kabhi khil khila k hans diya
jis ki chup say sab ro diye isay guftagoo pay bhi kamal hai
meri nus nus mai thi ashiquee , main ser ta pa tha zindagi
meri wafa pay hi uthien ungliyan mujhay is baat ka malal hai
barso’n raha main muntazir, wo meri halto’n say bekhabar
os pay qismat nay diya yeh samar , lamha bhar ka hoa visaal hay
jisay yaad kiya har pal, jis k naam hoi meri har ghazal
meri soch mai hai jo shaam o saher osay kisi aur ka khayal hai
by sodaii
sodaii
2
Re: haath mai angaar liye , har shakhus sarapa sawal hai
:s
Azad
3
Re: haath mai angaar liye , har shakhus sarapa sawal hai
bohut khoob ....
sodaii
4
Re: haath mai angaar liye , har shakhus sarapa sawal hai
Assalamo alaikum Azad
Bohat shukrya janab
Khush rahiye
Allah Hafiz
Sodaii
Azad
5
Re: haath mai angaar liye , har shakhus sarapa sawal hai
koi bat nahi
system
6
Re: haath mai angaar liye , har shakhus sarapa sawal hai
This poem resembles one of Parveen Shakirs works so much :-S Anyhow.. nice effort you made! :k:
sodaii
7
Re: haath mai angaar liye , har shakhus sarapa sawal hai
khayalat ka takrao ho gaya ho ga un say :$ hadisa'tun , warna kahan main aur kahan parveen aunty :$
wese ghor say parhnay ka shukriya .. yeh usi ghazal ko zara doosray style say likha hai .. laiken likha khudh hi hay :$
Re: haath mai angaar liye , har shakhus sarapa sawal hai
Its Beautiful… Very Nice 
sodaii
9
Re: haath mai angaar liye , har shakhus sarapa sawal hai
s
thank you janab!!