**Haath ki lakeeroN maiN, **
kya talash karty ho?
In fazool batoN main,
kis ley ulajhty ho?
**Jinko milna hota hai, **
bin lakeer daikhay he
**zindagi k rastoN per, **
sath sath chalty haiN
**Phir kahaN bichaRthy haiN, **
**jo nahi muqadar maiN, **
kab hamay wo milta hai,
**kab wo sath chalta hai **
haath ki lakeeroN maiN
kya talsah karty ho?
Re: Haath ki lakeeroN maiN
best...............dil ko choony waali nazam...........thanks.....asa
Re: Haath ki lakeeroN maiN
hmm …very good.:k:
Re: Haath ki lakeeroN maiN
thanks
Re: Haath ki lakeeroN maiN
zaberdast
Re: Haath ki lakeeroN maiN
wah wah bohot khuub........