zulmat ko kabi subh ka ma’yaar na maanay
sooli pay charhay saahib-e-kirdaar na maanay
pasti se bulandi k liye raah nikaali
lartay rahay taqdeer se hum haar na maanay
chaaha tha k mein apni udaasi ko chupaa lon
rotay huay ghar k dar-o-deewaar na maanay
ban sakti hai sooraj ka badal shamma ki low b
khoonkhaar hawaaon se agar haar na maanay
samjho k shaoor aapko manzil ka mila hai
jab azm kisi raah ko dushwaar na maanay