Haar Jati Hai

**Zamaanay Se Suna Tha K Mohabbat Haar Jaati Hai
Jo Chaahat Ek Tarfa Ho Wo Chaahat Haar Jaati Hai

Kahin Per Dua Ka Ik Lafz Bhi Asar Kar Jaata Hai
Aur Kahin Barso Ki Ibaadat Haar Jaati Hai

Mohabbat Kab Kisi Ko Dushmani Ka Dars Deti Hai
Mohabbat Ki Baazi Mai Adawat Haar Jaati Hai

Humein Kitnay Bhi Shiqway Hon Uski Jafaoon K
Per Us K Saamnay Har Shiqayat Haar Jaati Hai

Aarzoo Si Hai K Usko Bhool Jayein Hum
Per Uski Yaad Aate Hi Ye Hasrat Haar Jaati Hai**

Re: Haar Jati Hai

Bohat Khoob Waleed..:lajawab: