Re: ~ HaaR Jaati HaY ~
Zamanay Say Suna Tha Keh Muhabbat Haar Jaati Hay
Jo Chahat Yak Tarfa Ho Woh Chahat Haar Jaati Hay
Kaheen Dua Ka Ek Bhi Lafz Asar Kar Jaata Hay Kaheen Barsoo'n Ki Ibadat bhi Haar Jaati Hay
Muhabbat Kab Kissi Ko Dushmani Ka Dars Dayti Hay Muhabbat Ki Baazi Main Adaawat Haar Jaati Hay
Humain Kitnay Bhi Shikway Hoo'n USKI Jafao'n Kay Par uskay Saamnay Her Ek Shikayat Haar Jaati Hay
Ek Arzoo si Hay Keh Usko Bhool Jain Hum Per Uski Yaad Aatay Hee Yeh Hasrat Haar Jaati Hay
aadaab :~)
Its Really Wonderful Ghazal...........
Amazing.......
App ki choice bohat Gr8 hoa kartee hai............App ki tarhan Qeemtee:)