~ HaaR Jaati HaY ~

Zamanay Say Suna Tha Keh Muhabbat Haar Jaati Hay
Jo Chahat Yak Tarfa Ho Woh Chahat Haar Jaati Hay

Kaheen Dua Ka Ek Bhi Lafz Asar Kar Jaata Hay
Kaheen Barsoo’n Ki Ibadat bhi Haar Jaati Hay

Muhabbat Kab Kissi Ko Dushmani Ka Dars Dayti Hay
Muhabbat Ki Baazi Main Adaawat Haar Jaati Hay

Humain Kitnay Bhi Shikway Hoo’n USKI Jafao’n Kay
Par uskay Saamnay Her Ek Shikayat Haar Jaati Hay

Ek Arzoo si Hay Keh Usko Bhool Jain Hum
Per Uski Yaad Aatay Hee Yeh Hasrat Haar Jaati Hay

aadaab :~)

Re: ~ HaaR Jaati HaY ~

wah!
nice one :)

Re: ~ HaaR Jaati HaY ~

very nice

Re: ~ HaaR Jaati HaY ~

v nice :)

Re: ~ HaaR Jaati HaY ~

buhat khoob :k:

Re: ~ HaaR Jaati HaY ~

Haar Jaati Hai Wah umda maza aa gaya sayeen parh kar (aaj puri raat net he band tha mera bohat slow tha so abhi chala hai so parh raha hon n replyin)
gEo mere dost :shireen:

Re: ~ HaaR Jaati HaY ~

Buhat khoobsurat nazm.. :hugz:

mujhe bhi aik nazm yaad agai..

Muhabbat Bhi Ajab Shay Hai
Ke Jab Baazi Pe Aati Hai
To Sab Kuch Jeet Leti Hai
Ya Sab Kuch Haar Deti Hai
Muhabbat Maar Deti Hai

Re: ~ HaaR Jaati HaY ~

very nice :k: khas kar last shair :slight_smile:

Re: ~ HaaR Jaati HaY ~

NICEE

Re: ~ HaaR Jaati HaY ~

Thanx everybody :flower1:

Re: ~ HaaR Jaati HaY ~

Ek Arzoo si Hay Keh Usko Bhool Jain Hum
Per Uski Yaad Aatay Hee Yeh Hasrat Haar Jaati Hay

very nice

Re: ~ HaaR Jaati HaY ~

touchi…:k:.

Re: ~ HaaR Jaati HaY ~

^Casper :hugz: where r u ??? :frowning:

Thanx M.a.d.i.h.a … :~)

Re: ~ HaaR Jaati HaY ~

Its Really Wonderful Ghazal...........
Amazing.......
App ki choice bohat Gr8 hoa kartee hai............App ki tarhan Qeemtee:)

Re: ~ HaaR Jaati HaY ~

wonderful sharing :)

Re: ~ HaaR Jaati HaY ~

ThanX Daniee :flower1:

Thanx … aap logoon k yahi Qeemti alfaaz humara rishta yahan say jorray hovay hay :~)