Haan, Main ghareeb ka beta hon…

Haan,
Main ghareeb ka beta hon…
Zindagi ko sitam main kehta hon.
Majbooriyon me bhi khush rehta hon.
Chand boondon se pait bhar leta hon.
Kyun ke Main ghareeb ka beta hoon

Thandi mein thithoor leta hon,
Barsaat mein bheeg leta hon,
Garmi paaon jalaati hai …….
Toh Pathron pe main so leta hon.
Kyun ke Main ghareeb ka beta hon…

Kabhi sabzi, to kabhi kuch na milay,
Namak, roti pe main jee leta hon,
Zakham chahay jaisa bhi ho,
Thori haldi main laga leta hon,
Kyun ke Main ghareeb ka beta hon…

Ek kameez, ek patloon,
Roz bina sabun, main dhota hon,
Bari dukaano ki ronak dekh,
Aksar khush main ho leta hon,
Kyun ke Main ghareeb ka beta hon…

Gham bhi bohot hai.. Dard bhi hai..
Dil mein sab dabaa leta hon,
Kabhi akelay, to kabhi sab k samnay,
Aankhon se angootha bhigo leta hon,
Kyun ke Main ghareeb ka beta hon

Re: Haan, Main ghareeb ka beta hon…

mujhy laga u r girl :hmmm:

Re: Haan, Main ghareeb ka beta hon…

Nice sharing :k:

Love to read different type of poetry. thanks for sharing

Re: Haan, Main ghareeb ka beta hon…

^ Thank you. This really was a good piece.

Re: Haan, Main ghareeb ka beta hon…

Je , I am :smiley: Just thought this was worth sharing!

Re: Haan, Main ghareeb ka beta hon…

hmmmmmmmmm.

kl ek gareeb maa ne bechon ko ye keh kr sula diya
farishtay khwab main atey hn rotian le kr

Re: Haan, Main ghareeb ka beta hon…

i like it.. lol