Rung hain barsat kay
Mausam hain jazbaat kay
Muntazir aankhain hain
Main Akaila hoon
Haan!
Main akaila hoon
Tum chalay aao
Chairrtii hay jab hava
Ttahniyoo’n pay phooloo’n ko
Phool kahtay hain Ussay
Main akaila hoon
Haan!
Main akaila hoon
Tum chalay aao
Dharrkanain jab barrhti hain
Charrti hain saansoo’n ko
Sargooshiyaa’n sii hoti hain
Main Akaila hoon
Haan !
Main akaila hoon
Tum chalay aao
Raqs karti hay jab raat ki raani
Khamosh rahta hay jheel ka pani
Tou chand kahta hay…
Main akaila hoon
Haan !
Main akaila hoon
Tum chalay aao
Haan
Main akaila hoon
Tum chalay aao