Bas ik dhundlakay ka samaan, na waqt hai na log hain
Kya hai yahaan sab raeigaan, na wakt hai na log hain
Awaaz aaee, hai koi, koi nahee kuch bhi nahee
Na yeh zameen, na aasmaan, na waqt hai na log hain
Ab dosra rasta nahee, ab koi bhi manzar nahee
Bas ek khali ka samaan, na wakt hai na log hain
Koi nahee hai dar per, sooni pari hai rehguzar
Weeran hain sab khirkeeyaan, na wakt hai na log hain
Maadoomeyat ka jhumghatta, saya na saye ka pata
Kisi se koi pooche nishaan, na waqt hai na log hain
Ek dard hai phela huwa, ik aag hai dehki huwi
Hadd-e-gumaan tak hai dhuwaan, na waqt hai na log hain
Ek khouf hai hadd-e-nazar, ik weham sa saaya figan
Dukh karwaan dar karwaan, na waqt hai na log hain
Mein sochta hoon kuch nahe, mein dekhta hoon kuch nahee
Hai ek ajab seel-e-rawwan, na waqt hai na log hain
Ab rooeyay kyon shoor se, ab cheekheyay kyon zor se
Bolo yahaan, kya hai yahaan, na waqt hai na log hain
Haan, itne saloon baad bhi, mein bhi wohi, woh bhi wohi
Haan, us ke mere darmeyaan, na waqt hai na log hain …