HaaN, hum hee karbund-e-usool-e-wafa na thay

Waasokht

Such hai humeeN ko aap kay shikway baja na thay
Bay shuk Sitam Janab kay sub dostana thay

HaaN, jo wafa bhee aap nay kee, Qaiday say kee!
HaaN, hum hee karbund-e-usool-e-wafa na thay

Aaye tau yooN kay jaisay hamesha thay meharbaaN
Bhoolay tau yooN kay goya kabhi aashna na thay

KiouN daad-e-ghum, humeeN nay talab kee, bura kiya
Hum say jahaN maiN kushta-e-ghum aur kiya na thay?

Gar fikr-e-zakham kee tau khatawar haiN kay hum
KiouN mehv-e-madha-e-khoobi-e-tegh-e-ada na thay

Hur charagar ko charagari say guraiz thaa
Warna humaiN jo dukh thay, bahut ladawaa na thay

Lub par hai talkhi-e-maey aiiyam, warna Faiz
Hum talkhi-e-kalam pay maail zara na thay

Faiz Ahmed Faiz

Thanks for liking it everyone :blush:

Nice ghazal..:k:

and welcome to poetry sec :flower1:.. .

Hosla afzaii ka shukria :)

I think yahaN sirf log apnay dostouN ki mehfil maiN anaa pasand farmate haiN. Khair insha Allah aik din hum bhi muqam-e-dosti tuk jaa pohncheN shayad.