haaN! bas ik yaad-e-bahaaraaN kii kasak hai baaqii...merii ek Ghazal

**salaam dosto,

ummeed hai k mizaj-e-giraamii ba_Khair hoNge. ek Ghazal pesh-e-Khidmat karne kii jasaarat kar rahaa huN, qubool uftaad!

aapkii aaraa kaa shiddat se intizaar rahegaa. shukria.

to, Ghazal mulaaHizah farmaaiye:

faqat Khaak_nashiiN,

_______Hashmat**

**1.
phool baaqii haiN, na phooloN kii mahek hai baaqii
haaN! bas ik yaad-e-bahaaraaN kii kasak hai baaqii

band aHsaas kii ghuTti sii umas baaqii hai
rut pe saawan hai na purvaa kii mahek hai baaqii

intizaar ab hai kisii kaa, na hai dil meN vo umang
Doobtaa dil hai k halkii sii gumak hai baaqii

yaad-e-maazii ke vo jalve, vo nuqoosh-e-sad_rang
ufaq-e-zehn pe sat_rang dhanak hai baaqii

jhilmilaa uTHte haiN ab bhii merii palkoN pe charaaGh
saaf matl’a meN bhii kaunde kii lapak hai baaqii

rah gaii thii jo kabhii dil meN taraazoo ho kar
ab bhii us phaaNs kii meeThii sii chasak hai baaqii

bol uThte haiN jo, “Sai’hbaa!” kabhii ash’aar ke jaam
bhoolii bisrii huii yaadoN kii khanak hai baaqii**

Re: haaN! bas ik yaad-e-bahaaraaN kii kasak hai baaqii…merii ek Ghazal

itni mushkil mushkil cheezen kion likhte :crying:

Re: haaN! bas ik yaad-e-bahaaraaN kii kasak hai baaqii…merii ek Ghazal

**
mushkil? hehehe…is liye taa k tum an samajh sako…is meN secrets likhe huye haiN na aur do ek recipes bhi lol… :omg:**

Re: haaN! bas ik yaad-e-bahaaraaN kii kasak hai baaqii…merii ek Ghazal

acha :crying:
me ko first sher acha laga :crying:

Re: haaN! bas ik yaad-e-bahaaraaN kii kasak hai baaqii…merii ek Ghazal

**
thank you MM…agar yehi baat ro kar :crying: na kahtiiN bal k muskuraa kar :slight_smile: kahtiiN to kinna mazaa aataa sun kar :omg:

agar tumko kisi lafz ke ma’nii na ma’loom ho to bataanaa. :D**

Re: haaN! bas ik yaad-e-bahaaraaN kii kasak hai baaqii…merii ek Ghazal

me apka kam barhana nahi chahti mujhe 1 sher samjh a gea isliye i like it :crying:

baqion ki 1 -1 line samjh ae hai :teary2:

Re: haaN! bas ik yaad-e-bahaaraaN kii kasak hai baaqii…merii ek Ghazal

haahah…chalo 50% to samajh meN aa gayaa…paas ho gaiiN…mubaarak ho :smiley:

Re: haaN! bas ik yaad-e-bahaaraaN kii kasak hai baaqii…merii ek Ghazal

riyati paas bhi koi pas hona hai :crying:

Re: haaN! bas ik yaad-e-bahaaraaN kii kasak hai baaqii...merii ek Ghazal

Nice one KKF ...
thorii thorii mushkil thii.... jitni samajh aii achi lagi :)
keep it up :)

Re: haaN! bas ik yaad-e-bahaaraaN kii kasak hai baaqii...merii ek Ghazal

Poori ghazal hay bayhud haseen hay... tafseel say comment keroongi lekin pehlay shair main aik lafz hay **umas aur dosray shair ki akhri line main aik lafz hay ***gumak... zara inkay ma'ana bata di jiyee..*

Re: haaN! bas ik yaad-e-bahaaraaN kii kasak hai baaqii...merii ek Ghazal

HH bhai aapkaa bahot bahot shukria. aapko Ghazal pasand aayii mere liye Khushi kii baat hai :) sorry mushkil alfaaz ke liye :(

**shukria aapkaa bahot bahot Ghazal kii pasandeedgii ke liye. ok sure...aapkii aaraa kaa intizaar rahegaa iA.

umas ke bahot se ma'nii haiN magar yahan muraad hai "ghuTi huii" se [suffocating]
gumak ke bahot se ma'nii haiN magar yahan sadma ka matlab hai**

Re: haaN! bas ik yaad-e-bahaaraaN kii kasak hai baaqii...merii ek Ghazal

khoob hai

Re: haaN! bas ik yaad-e-bahaaraaN kii kasak hai baaqii...merii ek Ghazal

aapkii pasandeedgii kaa shukria :D

Re: haaN! bas ik yaad-e-bahaaraaN kii kasak hai baaqii...merii ek Ghazal

abhi lagta hia Koyal ki taareef baqie hai ;p

Re: haaN! bas ik yaad-e-bahaaraaN kii kasak hai baaqii...merii ek Ghazal


ahaaN bilkul...aapne ta'reef kar dii goyaa "paise vasool!". shukria. :D