Hai baske har aik un k ishare mein nishan aur
karte hain muhabbat to guzarta hai guman aur
ya rab woh na samjhein hain na samjhein ge meri baat
de aur dil un ko, jo na de mujh ko zaban aur
abru se hai kia us nigah-e-naaz ko pewand
hai teer muqarrar magar is ki hai kaman aur
tum sheher mein ho to hamain kia gham, jab uthein ge
le aayein ge bazaar se, ja kar dil-o-jaan aur
marta hoon is awaaz pe her chend sir uur jaye
jallad se lakin woh kahe jayien ke “HAAN AUR”
deta na agar dil tumhein, leta koi dam chain
kerta, jo na marta, koi din aah-o-faghan aur
paate nahin jab raah to charh jaate hain naale
rukti hai meri taba’a to hoti hai rawan aur
hain aur bhi duniya mein sukhanwar buhat ache
**kehte hain k “GHALIB” ka hai andaz-e-biyaan aur **