Choty see ghalt fehmi ker de gi juda hum ko
Haalaat naa badlaingay maloom na tha hum ko
Rishtoon ki hum ko itni pehchaaan na thee pehlay
Kehnay ko meraasim tu apnay thay boht gehraay
Ashkoon k siwa lakin kuch bhi na mila hum ko
Haalaat na badleingay maloom na thaa hum ko
Uthtay haoy qadamoon main zanjeer see per jaaty
Ehsas-e-nadamat se dehleez pighal jaaty
Ik baar mohubbat se de tay ho sada hum ko
Haalaat naa badleingay maloom na tha hum ko
Choty see ghalt fehmi ker de gi juda hum ko
Haalaat na badleingay maloom na tha hum ko