Haal Jab Khud Hi Na Samjhe Tou Sunana Kesa!

**Ja k phir laut jo aye woh zamana kesa
****Teri aankhon ne yeh chairra hai fasaana kesa
**
**Aankh sharamsaar-e-tamanna hai, tu vada kar le
Chaal kehti hai ke ab laut ke aana kesa
**
**Mujh se kehta tha ke saaye ki tarah saath hain hum
Yuun na milne ka nikaala hai bahaana kesa
**
**Khud bhi socha tha bohat, us ne bhi pucha tha bohat
Haal jab khud hi na samjhe tou sunaana kesa
**
Tujh ko paanay ki havass thi, so kise maloom tha
Apne hi aap ko kho bethen ge, paana kesa