Guzre huwe lamhaat ka peecha nahee karte

Chup chaap jallay jaatay hain shikwa nahee kartay
Halaat agar zulf ka saaya nahee kartay
Lafzoon ki tassali tu bahut detay hain lekin
Yeh log kabhi gham ka madaawa nahee kartay
Jeena hai tu ferda se nigaahain na churaoo
Guzray huwe lamhaat ka peecha nahee kartay
Khud se bhi bichar jaatay hain woh log yahaan jo
Halaat ki raftaar ko samjha nahee kartay
Jo apne girebaan pe rakhtay hain nigaahain
Woh gair ke aiboon ko uchaala nahee kartay
Aati hain kabhi aap ke koochay se hawaayein
Yeh soch ke deewar ko ooncha nahee kartay
Yeh log tu waaqif hi nahee mere junoon se
Kyon haal mera aap bhi poocha nahee kartay
‘Tauqeer’ khuda deta hai anwaar jahaan mein
Is jins ko bazaar mein dhoondha nahee kartay

:k:

B e a u t i f u l :flower1:

Good1..

bahut khoob Ab ! thanks 4 sharing!

Re: Guzre huwe lamhaat ka peecha nahee karte

wahh beautiful amerbail bohtt khobsoorat hay:flower1::flower2: